Friends aaj ham janenge ki UP board se passout student apni high school and intermediate ki original marksheet download kaise kar sakte hain. Is method se marksheet ko aap apne mobile ya phir pc me same trick se download kar sakte hai. Aap sabhi ko bata doon ki abhi sirf 2013 se lekar ab tak jinhone Uttar Pradesh board se high school & intermediate ke exam passout kiye hain sirf wahi log apni high school & intermediate ki original marksheet ko download kar sakte hain.
How to Download Original High School and Intermediate Marksheet?
High school marksheet & intermediate markshet download karne ke liye aapko roll no. aur passing year maloom hona chahiye.
1. Ab aapko UPMSP ki official website par jana hoga iske liye diye gaye is link par click kare-click here
2. Ab aapko right side me upar ki taraf parikshafal name se ek option dikhayi dega us par click kare.
3. Scroll down karenge to neeche ki taraf pariksha varsh 2013 se 2018 tak ke praman patra ka ek option hoga uske samne link khole ka option hoga us par click kare.
4. Ab aapko pariksha ke option me high school ya intermediate select karna hai. Pariksha varsh me aapne jis saal high School ya intermediate paas kiya hai wo passing year select kare. Ab aap apna roll number fill kare aur phir captcha daalkar submit ke button par click kare.
Aapki high school ya intermediate ki marksheet download ho jayegi.
I hope you like this post. If you have any questions or suggestions, so please tell us. Thanks for reading.
0 Comments