Ayushman Bharat Yojana Kya Hai ?
PM Shri Narendra Modi ji ke netratva me Ayushman Bharat Yojana ki shuruat ki gayi hai. Ayushman Bharat Yojana Bharat Sarkar ki medical va swasthya sambandhi ek yojana hai jiske dwara India ke gareeb parivaar jo gareebi ke karan apna ilaaj acchhe se nahin kara pate hain unhe Bharat Sarkar dwara har saal 5 Lakh Rupees ki madad ki jayegi.
Bharat Sarkar dwara chune gaye 10 Crore se adhik parivaro yani per family 5 member mankar chale to is yojana me 50 Crore se adhik logo ko labh milega. Is yojana ka labh sarkari hospital ya Bharat Sarkar dwara chune gaye private hospitals me is suvidha ka labh milega.
Is yojana ka labh pane ke liye aapko pahli baar aadhar card dene ki zaroorat nahi hai magar doosri baar labh pane ke liye aapko aadhar card dena padega. Iske sath aapka ration card, income certificate, caste certificate, aur bhi doosre id proof lagenge.
Is yojana ke antargat 24 naye sarkari medical college aur hospital banaye jayenge.
Ayushman Bharat Yojana ka Labh Kin Logo ko Milega?
Gaon me rahne wale log jo bahut zyada gareeb hai ya jinki monthly income 10,000 Rupees ya isse kam hai, SC/ST caste ke logo ko is yojana ka labh milega.
Wahi shaher ki baat kare to aisa parivar jinki monthly income 10,000 Rupees ya isse kam hai. Kooda-karkat udhane wale log aur aise log jo chhota rojgar karke apna parivar chalate hai.
- Niwas Praman Patra Form Online Kaise Apply Kare
- Jati Praman Patra Form Online Kaise Apply Kare
- Aay Praman Patra Form Online Kaise Apply Kare
Ayushman Bharat Yojana Registration?
Is yojana ka labh lene ke liye aapko koi form nahi bharna hai balki aapko Bharat Sarkar ki website par jakar Ayushman Bharat Yojana ke liye apni eligibility ko check karna hai.
2. Phir Am I Eligible ke option par click kare.
3. Phir apna mobile number aur captcha daalkar generate OTP par click kare
OTP verify kare.
4. Phir apni details fill karke apni eligibility ko check kare.
Ayushman Bharat Yojana Helpline No?
Adhik jankari ke liye aap sarkar dwara jari ki gai helpline number par contact kare:- 14555/ 1800111565
Friends, I hope you like this post. If you have any questions or suggestions, so please tell us. Thanks for reading.
0 Comments