How to Read Doctor Prescription in Hindi (OD,BD,TDS Meaning)

How To Read Doctor Prescription in Hindi (OD,BD,TDS Meaning)
How to Read Doctor Prescription in Hindi (OD,BD,TDS Meaning):-Friends aaj ham aapke liye ek aisi post laye hai jo aapke liye bahut hi important hogi. Is post me ham aapko ek aisi samasya ka samadhan batayenge hain jise apko amuman face karna padta hoga. To aaiye shuru karte hain.

Friends jab aap beemar hote hain aur doctor ke pass apne ilaaj ke liye jate hain. Doctor aapka checkup karta hai uske baad prescription par (dawai ke parche) medicines likh deta hai. Aapne dhyan diya hoga ki doctor medicines ke aage kuch shortcut code (OD, BD, TDS) jaisa likh deta hai magar hame samajh mein nahi aata hai ki kya likha hua hai.

Asal me un shortcut code se medicines ko khane ka time pata chalta hai.

Doctor hame medicines khane ka samay bhi bata deta hai lekin kabhi kabhi ham bhool jaate hain ki konsi dawa hame kab khani hai.


To chaliye Jante hain doctor ke likhe hue un short code ka matlab:-

OD, BD, TDS etc. Means in Hindi

  • OD - Din me ek baar (one time in a day) 
  • BD - Din me do baar (2 times in a day) 
  • TDS - Din me teen baar (3 times in a day) 
  • QiD - Din me 4 baar (4 times in a day) 
  • QoD - Ek din chhodkar (every second day) 
  • SOS - Jarurat hone par (as needed) or 
  • PRN - Jarurat hone par (as needed) 
  • AC - Khali pet (before eating or before food) 
  • PC - Khane ke baad (after eating or after food) 
  • HS - Sote samay (bedtime) 
  • QHS - Roj sote samay (every night) 
  • QD - Pratyek din (per day) 
  • Qam - Roj subah (every morning) 
  • Qpm - Roj Shaam (every night) 
  • Q2h - Har 2 ghante par (in every two hours) 
  • int - Khane ke beech me (between meals) 
  • gtt - Drops 
  • ss - one-half 
  • tbsp - tablespoon (15ml) 
  • tsp - teaspoon (5ml) 
How To Read Doctor Prescription in Hindi (OD,BD,TDS Meaning)
Kuch doctors neeche likhe gaye hisaab se likhte hain. Example- 
  • Paracetamol - 1-0-0 - (1 tab or cap) Morning 
  • Paracetamol - 0-1-0 - (1 tab or cap) Afternoon 
  • Paracetamol - 0-0-1 - (1 tab or cap) Night 
  • Paracetamol - 1-1-1 - (1 tab or cap) Morning-Afternoon-Night 


Doston to kaisi lagi apko hamari aaj ki post comment jarur karein. Aur apne doston ke sath share kare. Friends, I hope you like this post. If you have any questions or suggestions, so please tell us. Thanks for reading.

Post a Comment

0 Comments