Rx Meaning in Hindi | Red Line Strip, NRx, XRx Meaning in Hindi |

Rx Meaning in Hindi | Red Line Strip, NRx, XRx Meaning in Hindi |
Friends aaj ham aapke liye medical se related ek aur post laye hain jisme ham Rx ka meaning janenge ki ye medicines par kyon likha hota hai. Aap logon ne aksar dekha hoga ki doctors medicine ke parche par Rx likh dete hain. Aur jab aap us parche ko lekar medical store par jaate hain to medical store wala jo medicine deta hai us medicine ki strip (patta) par Rx likha hota hai. Lekin kya kabhi apne socha ki doctors apne parche par Rx kyun likhte hain aur medicine ki strip par bhi Rx likh kar kyun aata hai.

Doston! "Egypt (Misr)" ke ek devta "Horus" ki ankhe Rx ki tarah hain. "Horus" ki ankhon ko swasthya ka prateek maana jaata hai. Isliye doctors Rx ka use apne parche par karte hain. Lekin aamtaur par maana jata hai ki Rx ek Latin language ka symbol hai jiska English me matlab hota hai "take" yaani Lena. Matlab doctor apko medicine lene ke liye kahta hai. 

Rx Meaning in Hindi

Rx ke alawa bhi kuch aur bhi symbol hote hain jinka use medicine ke packet par hota hai Jaise medicine ki strip par red line bani hoti hai aur Nrx, Xrx etc. likha hota hai. Lekin ye symbol kyun use kiye jaate hain ye hame nahi pata hota hai. Aiye jaante hain in sabhi symbols ka matlab- 

Rx ka matlab hota hai ki doctor aapko medicine ko lene ke liye kahta hai matlab aapko prescribe karta hai isliye doctor apne parche par Rx likh dete hain aur medicine ki strip par ye isliye likha hota hai ki ye doctor ke dwara di gai dawa hai. Bolchal me Rx ka matlab prescription yaani upchar maana jaata hai.


Red line on Medicine Strip Meaning in Hindi

Aapne medicine ki strip par red line bani hui dekhi hogi. Red line ka matlab hota hai ki yeh dawa bina doctor ke prescription ke nahi leni chahiye. Matlab doctor ke parche ke bina is dawa ko nahi lena chahiye.

NRx Meaning in Hindi

NRx nashili medicine ki strip par likh kar aata hai. Matlab ye medicne Narcotics me aati hain aur ye medicine sirf unhi doctors ke parche par di ja sakti hai jinke paas nashili medicine ka licence ho jaise Psychiatrist (Manochikitsak).

XRx Meaning in Hindi

Jin medicine ki strip par XRx likh kar aata hai iska matlab hota hai ki ye medicine sirf unhi doctors ko di ja sakti hain jinke pass is medicine se sambandhit licence ho jaise Anesthisiologist. Matlab ye medicine sidhe medical store se apko nahi mil sakti. Ye medicine sirf doctors hi le sakte hain fir doctors sidhe isko patient ko de sakte hain.

Friends, I hope you like this post. If you have any questions or suggestions, so please tell us. Thanks for reading.

Post a Comment

0 Comments