PAN Number Meaning in Hindi-Permanent Account Number (PAN) Meaning

Pan Number Meaning In Hindi
Friends aaj ham baat karenge ki PAN card par likhe numbers yani PAN number ka kya matlab hota hai. Aaj ki date me PAN card hamare liye kitna zaroori ho gaya hai ye to sabhi ko pata hai. Bank me agar hame 50,000 Rupee se zyada ka transaction karna ho to PAN card hona zaroori hai. Income tax file karne ke liye bhi PAN card hona zaroori hai. Iske alava aajkal PAN card Id proof ke taur par log zyada use karte hain. PAN ka full form Permanent Account Number hota hai. Har person ka PAN number alag-alag hota hai. Magar kya aap jante hai ki PAN number kis tarah se allott kiya jata hai. Pan number se aapki kuch details ka pata chalta hai. Pan card number 10 digit ka hota hai.

Meaning of First Three Letters

PAN card ke pahle teen letters English ke alphabet hote hai jo ki AAA se lekar ZZZ tak kuch bhi ho sakte hain. Ye letter randomly computer generated alphabet hote hai. Jinke record Income Tax Department ke paas hota hai.

Meaning of Fourth Letter

PAN card ka fourth letter se ye pata chalta hai ki PAN card kiska hai yani PAN card ki person ka hai ya kisi firm ka hai ya aur kisi ka. Neeche kuch alphabet diye ja rahe hai unke meaning ke sath jo PAN number me hote hai-
  • P-Individual (single person)
  • H-Hindu Un-Divided Family (HUF)
  • A-Association of Person (AOP)
  • B-Body of Individual (BOI)
  • C-Company
  • G-Government
  • J-Artificial of Juridical Person
  • L-Local Authority
  • F-Firm
  • T-Trust


Meaning of Fifth Letter

PAN card number me fifth digit kisi person ya kisi company ke last name ke pahle letter ko show karta hai.
Example:- Agar kisi person ka naam Ahmad Raza hai to uske PAN number ka fifth letter R hoga. Aur agar kisi ka naam sirf Amar (PAN card form me yahi last name hota hai) hai to PAN number ka fifth letter A hoga.


Meaning of Fifth Digit to Ninth digit

PAN card number me fifth digit se lekar ninth digit tak jo numbers hote hai wo 0001 se lekar 9999 tak kuch bhi number ho sakte hain.

Meaning of Last Letter

PAN card number ka last digit ek alphabet hota A se lekar Z tak kuch bhi ho sakta hai.

Friends, I hope you like this post. If you have any questions or suggestions, so please tell us. Thanks for reading.

Post a Comment

0 Comments