Aay Jati Niwas Praman Patra Online Kaise Banaye

Aay Jati Niwas Praman Patra Online Kaise Banaye
Friends aaj ham janenge ki aay jati niwas praman patra online kaise banaye jate hai. Friends hame rozana school mein, college mein, scholarship forms mein, online jobs ke form mein aay, jati aur niwas ki zaroorat padti rahti hai to mai aaj aapko bataoonga ki aay jati niwas praman patra online apply kaise kare wo bhi matra 10 Rupee mein.

Aay jati niwas praman patra form online apply ke liye hame UP citizen services portal par apna registration karna hoga. UP citizen services par registration karne ka koi charge nahi hai ye bilkul free hai.

Aay Jati Niwas Online Apply Ke Liye documents?

  • Photo (passport size ). 
  • Aadhar card ya voter card ya koi aur id proof. 
  • Self declaration-download here
  • Aay ya jati ya niwas ka praman- sabhasad ya parshad ya warden ya gram pradhan ka likha hua, ration card, saleryslip ( vetan parchi) etc. 
  • Sabhi document scan karle aur unka size 100 KB se kam rakhe. 
Note:-Agar aap aay, jati, niwas pahle kabhi banwa chuke hai aur certificate expire ho chuka hai to aap apna photo, Aadhar ya any id proof, self declaration, old certificate, lagakar aaply kar deejiye. Aapka usi se renewal ho jayega.

UP Citizen Services Portal Par Registration Kaise Kare?

1. Sabse pahle aap Google mein saerch karein UP online aaye hue search results mein se citizen services par click kare.
Aay Jati Niwas Praman Patra Online Kaise Banaye
2. Apke samne jo window khul ke aayegi usme new users register par click kare.
Aay Jati Niwas Praman Patra Online Kaise Banaye
3. Ab aap apni ek user name banaye aur check kare ki id uplabdh hai ki nahi sari detail sahi se bhare. Apna district select kare, pin code dalein, mobile number, aur captcha dal kar surakshit kare ke option par click kare. 
Aay Jati Niwas Praman Patra Online Kaise Banaye
4. Ab apke mobile par password aayega jo ki 24 hours ke liye valid hota hai apni user name aur mobile par aaye password ko dal kar login kare. Phir jo interface aapke samne aayega usme aapna password change kar lein. Phir user name aur naye password se login kare. Kabhi-kabhi mobile par password der se aata hai isliye pareshan na ho.
Aay Jati Niwas Praman Patra Online Kaise Banaye


Aay Jati Niwas Praman Patra Form Online Kaise Bhare?

Apna user name aur password dalkar UP citizen services portal par login kare aur avedan bhare wale option par click kare aur koi bhi ek service jo aap apply karna chahte hai usko select kare. Example ke liye mai yaha jati praman patra ko select kar leta hoon.
Aay Jati Niwas Praman Patra Online Kaise Banaye
Ab jiska form bharna hai uski details fill kare. District select kare tehsil select kare aur documents upload kare. Phir darj kare par click kare. Ek baar khud sabhi details ko check karle agar detail galat ho gayi to aap unhe change nahi kar payeinge.
Aay Jati Niwas Praman Patra Online Kaise Banaye

Payment

Jab certificate ka form bhar leinge to aapko ek avedan sankhya milegi use copy kar lein aur seva shulk bugtan ke option par click application no paste kare aur sabmit kare. Apna payment method select kare. Aap Netbanking, Debit Card se payment kar sakte hain.
Aay Jati Niwas Praman Patra Online Kaise Banaye
Jab certificate ban jayega to aap use nistarit avedan wale option se save ya print kar sakeinge.

Certificate Status Check Kare-Click Here
Certificate Verification Kare- Click Here

Friends, I hope you like this post. If you have any questions or suggestions, so please tell us. Thanks for reading.

Post a Comment

0 Comments